Ek premika apne premi ko yaad karte huye kya soch rahi hai aisa likhne ki koshish hai.. dono ko biccharhe huye arsa guzar gaya hai magar usey apne premi (lover) ki yaad ab bhi bahut aati hai.....
jhonkaa hawa ka aata hoga ab bhi...
kahin koi awaaz meri sunte ho kya...?
aahat se man machal jata hoga ab bhi...
maine do pal ruk ke socha tha, kya..?
naam mera yaad aata hoga ab bhi...
kitne achhe pal woh beete, hai na..?
man geet koi gungunata hoga ab bhi...
kab dhoop khili ya sham dhali,kyun...?
waqt yun hi guzar jata hoga ab bhi...
koi shaqs mile raahon mein mujhsa, toh...?
chehra mera dhundhlata hoga ab bhi...
yeh kaise pal hain, yeh mahaul hai kya..?
har pehar thehar jaata hoga ab bhi....
kya sirf meri yaadon mein ho tum...?
ya tum bhi gumsum rehte ho mujh mein...?
kya sirf meri aankhein yeh nam hain...?
ya tum bhi palkein bhigote ho ghum mein...?
yeh sawaal mere hain tumse, bolo...
kuch yaad tumhe bhi aata hoga ab bhi...
hua arsa jab biccharhe the hum tum...
par dil ka ghum sehlata hoga ab bhi.....