Pages

Kuch badla nahi tere jane ke baad...

 Kuch badla nahi tere jane ke baad...
Seene me dil ke qadmo ki awaze hai,
nabz bhi wase hi chalti hai ruk ruk kar...
saanse bhi kahna nahi manti,
har baar aa jati hai bin bulai mehmaan ki tarah....
kuch badla nahi tere jane ke baad.........

badi badi surkh pathrai hui ankho me..
neend ab bhi ase gum hoti ja rahi hai...
jase paani gum hota jata hai peeli peeli si whiski me...

kuch badla nahi tere jane ke baad .........

falak par chand bhi tha.. raat ka siyah dupatta liye..
dupatte par badi nazakat se taro ko..taank kar laya tha woh..

kuch badla nahi tere jane ke baad.........

badmizaz baadal bhi aya or
barish bhi
gusse me barish ki budon ko
aangan me khade shisham ke
patto par patka
naraaz tha shayad chal gya phir
ane ke liye....

kuch badla nahi tere jane ke
baad .........

takiye par "haya" teri giili
mehndi ke nishaan
taza hai abhi tak...
na to unki khusbu baasi hui hai..
or na hi rang halka pada hai unka...
kuch badla nahi tere jane ke baad .........