Usay Kehna Kitabon Main Rakhy Sokhy Huy Phool,
Us Ke Loat Anay Ka Yaqeen Ab Tak Dilaty Hain,
Usy Kehna Ke Us Ki Jheel Si Aankhin Kisi Manzar Pe Cha Jain.
Tu Sab Manzar Younhi Phir Bheeg Jaty Hain.
Usay Kehna Ke Ke Thandi Barf Per Koi Kisi Ke Sath Chalta He.
Tu Kadmon Ke Nishaan Phir Se Us Ke Loat Aany Ke Nishaan Dil Par Banaty Hain,
Usay Kehna Ke Us Ki Bheegi Aankhon Ka Wo Aansoo ,
Sitary Ki Tarah Ab Bhi Hamin Shab Bhar Jaagat He,
Usay Kehna Ke Barish Khirkion Pay Us Ke Aansoo Paint Karti He,
Usi Ka Naam Likhti He,
Usay Bhi Gungunati He,
Usay Kehna Ke Khushboo, Chandni,Tarary,Rasty,Ghata,
Kajal,Mohaabat,Chandni,Shabnam,Hawaain,
Raat,Din,Badal, Sabhi Naraz Hain Hum Se,
Usay Kehna...........