This Lines Dedicate to Papa's Doll nd unke dear DAD....
Meri Pehchaan aapse hai papa...
Kya kahun mere liye aap kya ho...
Rehne ko hai pairo ke neeche ye zameen...
Par mere liye toh mera aasman aap ho...
Main kehti aayi bachpan se har choti cheez dila do...
Nahi khaungi khana, mujhe bas aakhri baar dila do...
Mujhe rote dekh papa aap bhi pigal jaate they....
Agle din ka vaada karke, agle din jarror le aate they...
Yaad aati hai bachpan ki woh yaadein,
Jab aap jate they bahar aur hum apko yaad kia karte they,
Mummy se har thodi der mein "Kab aayenge Papa" poocha karte they,
Kyunki rehta tha us dulaar ka intezaar jisme din ke lamhe they kul chaar...
Aaj bhi yaad aatey hai bachpan ke woh din...
Jab ungli meri pakad kar apne chalna sikhaya..
Is tarah zindagi mein chalna sikhaya..
Ki gindagi ki har kasauti par apko apne kareeb paya...
Papa ek din kya apke Naam kar du,
Keh do ek baar, apni Jaan apke naam kar du,
Apne hi toh in saanson ko zindagi di hai,
Aur apke hone se hi meri pehchaan bani hai...
Ab bhi jab yaad aa jata hai meri "Bidaai" ka woh din...
Dil bhar aata hai, aansu aa jate hai, Tanha ho jati hu..
Sochti Thi- akeli rahungi ek naye shehar mein kaise apke bin..
Soch kar hi pareshaan ho Jaati hu...
Par aap toh ho hamesha mere dil mein, yeh shehar kya dooriyan baant sakega...
mujhe Dil mein ek baar yaad kar lena, koi aur jyada mujhse kareeb nahi dikhega....