Itni Lambi Ummar Naa Maang Mere Liye Aey Jaan.....
Kahi Aesa Naa Ho Ki....
Tu Bhi Chhor De Aur Mout Bhi Naa Aaye......
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Si Beth Jati Hai...
Khud Bhi Jalti Hai Mujhey Bhi Saath Jalati Hai...
Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To...
Phir Merey Paas Aa Ke Bade Pyar Se Mujhey Manati Hai...
Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deti Hai...
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunati Hai...
Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan...
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurati Hai...
Subh Ka Sitara Lagti hai Zindagi Se Piyari Lagti Hai...
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmati Hai...
Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhti Hai...
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batati Hai...
Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat...
Us Ki Aankh Ka Phaeia Kajal Saari Kahani Sunati Hai...
Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai...
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai...
Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein...
Mere Khayal ka har ek Saaz Geet usi k Gata hai....