Ek waqt ki baat hai ek ladka tha banjara sa...
khule gagan me udta rahta wo panchhi awara sa...
na ghar ki thi chinta koi na apna thikana tha...
har dar par wo firta rahta tha mara mara sa...
mar pit awara gardi se use fursat nhi milti thi...
apne jaise awara dosto ke sar pe hi zindagi uski chalti thi...
magar jyada din chal na saka uska ye dhong dhtura...
ek ladki mili jiski ankho ka jadu chal gya us pe pura...
dhire dhire us ladki ko bhi bhane laga tha ye awara...
ek baar mile phir milne lage dobara dobara...
dono ke dil me khyal ab shadi ka sajne laga tha...
magar zami asman kaise ek honge ye dar sabhi lagne lga tha...
ladki ne apne baba ke aage apna sara kissa rakha...
magar baba ne ladke ko ek dam se nakara...
apni bezti sunkar ghar se nikal aaya bechara...
magar ladke ne har na mani mehnat karne laga wo...
mehanat kar ke din rat marne laga wo...
kuchh hi salo me ladke ne apna alag hi mukam bnaya...
mehanat ho to kuchh bhi hasil hojayega duniya ko smjhaya...
apni khushi manata hua ladki ke ghar jab pahucha...
dekha waha jalsa laga tha mohal tha garma garmi ka...
waha mandap saja hua tha magar dulha dulhan nhi the...
ladka itna kuchh smjh na paya sahi se...
magar andar jate dang rahgya ladki lal jode me arthi pe padi thi...
uska baap pairo me tha maa uski sar pe hath fer rahi thi...
ladke ne jate hi gili ankho se ladki ka matha chuma...
swal bhare nazro ke sath baap tarf wo ghuma...
baap ne btaya ke kafi intzar ke baad hum iski shadi kra rahe the...
nhi karegi to achha na hoga kah kar dra rahe the...
taiyar bhi hogyi thi magar na jane jaan kio dedi...
jo baat thi kam se kam khul ke to hamse kahti...
tabhi ladki ki chhoti bahan ne chithi ladke ko di...
us chithi ne ladke se sari khani kah di...
likha tha mai ab aur intzar nhi kar sakti...
magar tumhari na hone pe mai hu mar sakti...
kisi aur ka hone se achha mai duniya se hi uth jau...
tumhari na hui to ab kisi ke hath na aau...
ladka ye padhte padhte achanka ladke ke upr gir gya tha...
jab dekha sabne to achank hi wo mar chuka tha...
shadi wale ghar se aaj do lashe uth rahi thi...
unki lashe unki sachi mohabbat ki dastan kah rahi thi...
mohabbat ne ek awara ki zindagi to badli thi...
magar iske badle me do masoom jane bhi li thi.....