"Sun tu bhi mere yaar ki kya khoobiyan hai...
Hai wo moorat mere khuda ki jise se mujhe mohabbat hai....
thi kal talak meri wo adat, ab mujhe uski jarurat hai....
Na kar yun deewangi aye deewane ashiq, ishq ne bahuton ka dil toda hai....
mat bhool tu wo gadi tere dard ki, is ishq ne pahle bhi tera saath chhoda hai...
Meri aankhe hai nam, fisal rahe hai mere kadam fir bhi kahta hun main apni rooh se-->>
Beshaq chhoda ho usme saath mera, par ab thama hai us farishte ne hath mera.
hai yaqeen us par khuda ki khudaai jaisa, hogi har shab sang me hoga sang me har roz savera....
Muskra di meri ye bat sunkar meri rooh ab to kahne lagi fir mujhse-->>
Teri mohabbat ko mera salam aye deewane aashiq ki ab tujhe tera pyar milega...
chahega jo toot kar tujhe khud se bhi jyada ab tujhe wo sacha dildaar milega.....