Kehte He Har Baat Ke Piche Koi Raaz Rehta He...
Yuhi Nahi Suraj Raat Me Chand Ko Aasman Deta He...
Aaj Jab Dekha Mene Aasman Ko Gor Se Yaaro...
To Har Sitaara Safar Par Bas Ek Sitara Wahi Rehta He...
Pucha Mene Aye Aasma Bata Us Sitaare Kya Raaz He...
To Aasman Muje Us Sitaare Ki Kuch Ye Daastan Kehta He...
Bat Us Waqt Ki He Jab Rab Ye Pyari Si Dunia Tayyar Karta He...
Zamee Pe Insaa Ko Aur Aasma Pe Sitaaro Ka Ikhtiyaar Karta He...
Kehte He Mahobbat Karna Dastur Sirf Insaano Ka Hi Nahi...
Us Aasma Par Bhi Ek Sitaara Ek Sitaare Se Bahut Pyar Karta He...
Din Hote Hi Band Kar Aankho Ko Wo Khwabo Me So Jate He...
Aur Raat Me Sitaara Apne Mehbub Se Mahobbar Ka Izhaar Karta He...
Par Kehte He Na Bina Dard Ke Koi Mahobbat Kabhi Banti Nahi...
Ek Din Kaatib - E - Taqdeer Is Mahobbat Se Saaf Inkaar Karta He...
Ek Din Tut Kar Mehbub Us Sitaare Ka Zamee Pe Jaa Gira...
Us Din Wo Sitaara Apne Khuda Se Sikayat Besumaar Karta He...
Kehta He Uska Rab Intejaar Kar Tab Tak Jab Tak Tujme Jaan He...
Wo Laut Ke Fir Aa Jayega Gar Tu Use Saccha Pyar Karta He...
Us Din Se Wo Sitaara Nazre Bichaye He Apni Mehbub Ki Raho Me...
Aur Har Roj Duaao Me Apne Mehbub Ke Liye Khud Ko Bekarar Karta He...
Itni Shiddat Chupi He Uski Paak Mahobbat Me Aye Mere Yaaro...
Ki Barso Hue...
Par Aaj Bhi Usi Mukaam Par Wo Apne Mehbub Ka Intejaar Karta He....