Kyon khuda ki khudaai har rishte me azeeb hoti hai...
Door rahkar bhi Beti hi maa ke sabse kareeb hoti hai...
Deta hai daman me jiske khuda Beti ka tohfaa...
Wo aangan pawan, wo maa sabse khushnaseeb hoti hai...
Milta hai kisi ko ghar sone ka, koi tarse mamta ko...
Door rahkar sahna, toot kar sabko chahna hi uski tahzeeb hoti hai...
Chahta hai koi Beti ka pyar, koi paida hone se pahle deta hai mar...
Bete ke lalach me Beti ka qatl, un logo ki soch kitni gareeb hoti hai...