Ye jahan kaisa hai iska ahsas kraya tha maa ne...
Ungli pakad kar chalna sikhaya tha maa ne...
Pahla lfaz bhi jo nikla muh se 'maa'...
Wo bhi to bolna sikhaya tha maa ne...
Khud bhukhi rahkar khana khilaya tha maa ne...
Mai to janwar ki trah aaya tha zameen pe....
Mujhe insan bnaya tha maa ne....
Kaise uske ahsano ko bhula skta hun...
Zinda rakhne k liye dhodh k roop me apna khoon pilaya tha maa ne...
Aaj mai khud ko sab se uncha manta hun...
Magar is mukam tak bhi to apni duao se pahuchaya hai maa ne...
Is berahm dunia ki maar se mai kab ka mar gya hota...
Magar mujhe khush rkhne k liye!!!
Mere sare dardo ko apna bnaya tha maa ne....